Friday, 27 November 2015

Dedicated to girl

Dedicated to beloved one...
Aaj dulhan ke laal jode mein use us ki saheliyon ne sajaya hoga,
Meri jaan ke gore haaton par sakhiyon ne mehndi ko lagaya hoga,Bahut gehra charega mehndi ka rang,us mehndime me us ne meraNaam chupaya hoga,Reh reh kar ro padegiJab jab usko khayal mera aya hoga,Khud ko dekhegi jab aine meinTo aks us ko mera bhi nazar aya hoga,Lag rahi hogi bhala si sunder woh.
Aaj dekh kar us ko chaandBhi sharamaya hoga,Aaj meri jaan ne apne maa baap ki izzat koBachaya hoga,Us ne beti hone ka dostonaj har farz nibhaya hoga,
Majboor hogi woh sab se zyada,Sochta hun ki kis tarah us ne khud ko samajaya hoga,Apne haaton se us neHamare pyar ke khaton koJalaya hoga,Khud ko mazboor bana kar us neApna dil se meri yaadon ko mitaya hoga,Toot jayegi tasveer meri Jab us ki maa ne tasveer ko table se hataya hoga,Ho jaayenge laal mehndi wale hathJab un kaanch ke tukdon ko us ne utaya hoga,
Bhooki hogi woh janata hu me,Kuch na us pagali ne mere bager khaya hoga,
Ro ro ke buri haal ho jaaye gi us kiJab waqt us ki vidayi ka aya hoga,
Bade pyar se meri jaan koMaa Baap ne doli mein Bithaya hoga,
Ro padegi aatma bhi dil bhi cheekha aur chillaya hoga,
Aaj apne maa baap ke liyeUs ne gala apni khushiyon ka Dabaya hoga,Reh na paayegi juda ho kar mujh seDar hai ke zehar chup ke se us ne khaya hoga,
Doli mein baithi ek zinda laash koAaj meri jaan ne.
Apne maa baap ki izzat kobachaya hoga,Us ne beti hone kaDoston aaj har farz nibhaya hoga.

No comments:

Post a Comment